Chehra Mera Tha, Nigahen Uss Keen: Parveen Shakir’s Ghazal
Chehra Mera Tha, Nigahen Uss Keen is once of Parveen Shakir’s most loved Ghazals, which was immortalized by voice of Junaid Jamshed. Both were amazingly talented people, who left us very untimely.
Chehra Mera Tha, Nigahen Uss Keen
Khamoshee main bhi wo batain uss ki
Mere chehare pe Ghazal likhti gain
Sher kehti hui ankhen us ki
Shokh lamhon ka pata dene lagin
Tez hoti hui saansen us ki
Aise mousam bhi guzaare hum ne
Subahen jab apni thien shaamen us ki
Dhyan main us k ye aalam tha kabhi
Aankh mehtaab ki yaden us ki
Faislaa mouj-e hava ne likha
Aandhiyan meri bahaaren us ki
Neend is soch se tooti aksar
Kis tarah katati hain raaten us ki
Door reh kar bhi sadaa rehti ha
Mujh ko thaame hue baahen us ki.
PARVEEN SHAKIR
Also view beautiful rendition of this song in voice on Junaid Jameshed of Vital Sings.
https://www.youtube.com/watch?v=BHdYjz8jIT0